Sunday, May 30, 2010

intezar-3

wo khdki wali seat par baithi
intezar kar rahi thi..train ke chalne ka
subah ke 6.45 baje the...
aur mausam pe halki gulabi thand thi
par uski ankhe..gam se nam thi
...dheere dheere gadi platform se sarkane lagi
aur uske pati ne uske ansoo ponch kar kaha
sab thik ho jayega...tum ja rahi ho na ab
aur bete ne kaha....maa take care..
gadi apni speed se badh rahi thi..
aur wo anmane man se chetan bhagat ko padh rahi thi
bete ne uski nayi book la di..
aur kaha tha train me issa achha timepass hoga
par uske dimag ke byscope me
kuch aur hi chitra ghum rahe the...
kabhi kabhi auro ke intezar me
wo zindagi ki philosophy dhundh kar
apna dhyan us byscope se hata rahi thi..
par aaj dil ro raha tha
aur dimag...to jaise
5 ghante ke safar me 45 salo ki
film dikhane pe ada tha
bar bar uski ankhen nam hoti
wo do ghunt pani ke pee
fir ksi aur ke intezar ko nayi
philosophy de dekar
apni diary me note kar deti


us nanhe se safar me intezar sabko tha
aur use bhi...

kya wo zindagi dene wali maa ko
operation theater me jane se pehle
ek nazar dekh payegi..
kya wo usse bat kar payegi
kahin ye train late ho gayi to????
ye dar bar bar uski jan khaye ja raha tha..

apne gantvya station pe utar
taxi rok
usne kaha...

............... hospital...
uska ek intezar khatam...
aur duja shuru ho raha tha.............

No comments:

Post a Comment