Monday, July 27, 2009

nadi hoon..nari hoon

Nadi ki dhar
Patharo se girti hoon
Maidon me shant behti hoon
Upar tapti ret hoon to kya
Bhitar hi bhitar risti hoon
Nari hoon nadi saman
Zindagi ki tapish me yun bhi jhelti hoon
Kabhi lehar ban yahan wahan
Machalti hoon
To kabhi apne hi kinare par ake toot jati hoon
Nari hoon pani ban
Apni seemayen khud bandhti hoon
Aur khud unhe palti hoon
fir bhi jo kamzor samjhe mujhe
wo khud bada kamjor hai
kyunki nadi ban ya lehar ban
shant pani see bahu to kya
khud me chattan todne ka hausla rakhti hoon
nari hoon…
nadi ban jivan ki har chatan ya to par karti hu
ya tod kar apna rasta khud chunti hoon.

No comments:

Post a Comment