suniye PM ji
Mananiya PM ji
Me wahi sadarahan grihani hu
Jisne pichli bar
aapkpo ghar bulaya tha…
Ab fir se nyota bhej rahi
Aap padhare mere ghar
Aturta se bat dekh rahi
Waise meri awaz shayad
Aap tak pahunch na paye
Kyunki aapki sarkar ne
Bade dhol rakhe hai bajaye
“mahangai dar kam ho gayi”
Jor jor se sab rahe chilaye”
Par maf karma PM ji
Kal tak dal-roti khane wala
Is desh ka garib
Ab bas adhi roti pe chalta hai
Aur khwabo me bhi
Dal sabji ke khwab dekhne se darta hai.
KEWAL DAR HI GHATI HAI PMJI MEHANGAI NAHI
Yun ye to ham chupkese aapke
Kano me ye bat kehna chahte the
Par jinke liye shahar ki
Sabji mandi tak ab door lagne lagay
Unke liye aapki dili to bahut door hai…
Isliye aap aaye..fir se mere ghar..
Aur dare nahi is bar..na budget
Na anko ka gyan aapse pana hai
Bas,,meri bayeen tarzani ke
Nakhun pe jo nishan ab bhi maujood hai
Wo aapko dikhana hai…….
Aur itna jaldi aap bhul gaye
Ki meri sabse mehngi cheez
Par tikki aapki sarkari
Kursi ab left-right nahi dol rahi
Bas
Yahi aapko yaad dilana hai.
Aapki rah dekhti…chetna.
Friday, July 3, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment