Friday, February 5, 2010

abhimanyu aur draupadi

jeene wala har insan aaj abhimanyu hai
aur zindagi tu draupadi ..........

ladta har pal , marta pal pal.
kaisa bharastahar ka chakarvihyu hai.........

zinda rahene ke mahayhud mein............
katta uska har ang hai..........

kismat bhi arjun bani
har bar ksi aur jang ladne me fansi hai

har mod pe..har or
koi naya jaydrath agay khada hai

na jane is yug ka krishna
bhi kahin kho sa gaya hai.......

bas ab tu itna samjh le
hey abhmanyu...

wo chakradhari tab bhi lachar tha
shayad aaj bhi lachhar hai......

ye tera apna chakravyuh hai
khud tode ja...
ab ke than le.....
jaydrath tera nahi
tujhe uska vadh karna hai.................
tujhe uska vadh karna hai

No comments:

Post a Comment