Mere mohalle mein
Khushiyon ka ana
Fir se shuru ho chukka hai
Yun to yahan
Garmi badi hai
Sharbaton ke dariya..
Behna shuru ho chukka hai
Kai dino se suna suna tha
Jo Mera angan…
Ab chachahane laga hai
Dhool padi thi jin khilono pe
Who bhi ab chamakne lagay hai
Koi roothne me
To koi manane me lagga hai
Kabhi koi ankh pe bandhe patti
To koi bichata shatranj ki bisat
Aur kahin lagi hai sanp aur seedhi
Kahin par kanche bikhare hai
To kahin gilli dande…
Gend kahin aur balla kahin…
Jo khud abhi gudiyan hai
Rachane challi gudde-guddi ki shadi
Gudiya ki maiya kab se…..
dahej sajane me laggi hai
Aur haye re gudde ke amma…
Bas munh fulane me
Aur bechare nanhe barati
bar bar sar se bhari apni
pagdi sambhlne me lagay hai
umr se pehle jo badha tha
meri ore budhapa
in nanhe farishton ko dekh….
ab apna saman bandhne lagga hai
dheere dheere mera bachppan
mere pas fir lautne lagga hai
mere mohalle me bachon ka vacation shuru ho chukka hai.............
Thursday, May 8, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
मैडम आप ने इतनी अच्छी कविता लिखी है इसे और ज्यादा पाठक दिलाने के लिए नारी ब्लोग पर भी डाले तो अच्छा रहेगा। नारी ब्लोग जोइन करने के लिए आप का स्वागत है।
ReplyDelete