Wednesday, April 9, 2008

JISKA KAM USIKO SAJHE…..

Umr ke is chavaleesven (44th) padav me
Main fir se padh rahi hu
Na ramayan
Na gita
Na mahabharat
Na hi koi puran
Bas apne bachpan ki
ore thoda mud rahi hu
hanji..me bhi ‘C’ padh rahi hu
bas yun samjho
dheere dheere kisi
gehri khai ki taraf badh rahi hu
girungi nahi yeh bhi janti hu
kyunki kabhi jiski me teacher thi
wohi mera beta ab mera tutor hai,
mere liye to woh ek sharp shooter hai
jo har waqt
mere khali bheje pe
bandook leke khada rehta hai
aur is ‘C’ ka concept clear karne pe ada rehta hai
ab to buri tarah fansi hu
na nikal pati hu
na doob jati hu
aise dal dal me dhansi hu
janti hu isme se har hal me bahar ana hai
isliye hi to
apne dye kiye balon
ko fir se safed karne pa tuli hu
hmm..kanetkar ki book ka
kewal ek chapter padhne ke bad
jo aaj tak kisi ne shayad kiya hoga
woh karne chali hu
ji han…me apna
pehla ‘C’ Statement likhne baithi hu
maf karna Einsteinji..
aapke “E=mc­2 wale formulae
ka sahi matlab aaj hi jana hai
aur isiko apne first ever
‘C’ statement ke liye chuna hai
E=m*c*C ; (E=mc2)
{E=enigma
m=microbiology
c=chetna
C=’C’}
Jate jate ek secret aur bata du
Mere sare software doston ko
Tumhare is ‘C’, ‘C+, ‘C++ se
To mera ‘Genetics” jyada asan tha
In ‘C’ variables ko samjne se
DNA, RNA ko samjhna kaii guna saral tha
Tumhare ‘Compiler’ se
To majboot DNA ka phosphate bond tha.
Neways…………………..
ab to lag raha hai
ek kahavat apne liye bol dalu
aur is lambe hote kavya ka ant kar dalu
“jiska kam usiko sajhe
Aur kare to thenga baje.”

No comments:

Post a Comment