Aaj fir wo roti hui Ghar ayi
Maa ne poochha
Kuchh Na boli bas ghur ke ek Nazar dekha aur chali gayi apne kamre me
Maa ne Socha aaj fir tution me sir ne daant lagayi hogi aur ye soch ke lag gayi rasoi me,
Rasoi nibti hi thi ke jethaniji aa gayi meenmekh nikalne isme Namak Kam usme mirch jyada , maa bas sar jhukaye kone khadi thi, jethani ji ki family kha chuki to maa ne bacha khucha ek thali me dala aur thali leke beti ke kamre me gayi.
Beti ne fir use ghur Kar dekha , maa boli Ari Didi ki bat ka bura nahin lagate, thode taane sunne padte par bete ek chhat to hai Ham do anatho ke sar, fir wo tujhe padhane ka kharcha bhi karti, dil ki buri nahin wo.
Chal ab kuchh kha pi le, fir itminan se batana tution me Kya hua?
Beti ne fir maa ko dekha aur bola maa itminan ??
Aur bolte bolte apne ang par dhamki chuni khench Li
Maa ki dekhte hi cheekh nikal gayi
Maa ne beti ko apne seene se laga liya aur dubak ke dono kafi der tak siskti Rahi
..
Logo ka hujum Ghar ke bahar khada tha , police ki galiya sadsadat ati ja Rahi thi, jethhani dahade maar Kar chila Rahi thi Haye kalmunhi kha gayi mere pati ko, aur maa ek taraf mook khadi thi kamre me Jahan ek lash padi thi
jeth
Aur dabi awaz me padosi bol rahe the
Dekho to kaisi nirdayi hai jis Ghar ne Sahara diya usike Malik ko kha gayi dayan
Aur maa man hi man pighal Rahi thi
Pahle mere sath , ab khud ki beti ke sath
Aise Insan ko jeene ka koi haq nahin......