Yaad hai dadi
Bachpan me apne nakhun
Par safed chitte dikhakar
Maine tumse poocha tha…
“yeh kya hain aur kyun hain?”
Tab, tumne bade pyar se
Mujhe apne god me bitha kar
Aur mere nanhe komal hathon ko
Apne hathon me lekar kaha tha,
“ yeh sab tumhare dost hai…”
Tab hamari batein sun kar
Papa badi jor se hanse the
Aur ma ne to anayas hi pooch bhi liya
“dost kya nakhuno pe chitte ban kar ugte hai
Aur badhte nakhuno ke katne par kat-te hain?”
Aur tab tum vishwas se boli thi “han”…
Shayad tab ki kahi teri bat
hi sahi thi dadi…….
Kyunki mere nakhun per fir ek chitta
Katne ki or bada hai………
Kash… tum aaj bhi mere sath hoti..dadi
To yeh bhi bata deti….
“Inhe fir se kaise ugaya jata hai?”
Monday, March 31, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment