bas jeene ki aas me
ham har pal mare
kabhi apno ke liye
kabhi begano ke liye
ham..hamesha..ek aag me jale
koi hame samjha nahi
na ksi ko ham samjhe
bas bematlab
ham har bar kantili raho pe chale
na jane fir bhi
ye kaisi zuban payi hai
har dard har aah dabate chale
ham har bar dabate chale
kabhi apno ke liye
kabhi begano ke liye
ham har bar...angaro pe chale...
chalte chale...jalte chale
Wednesday, April 8, 2009
...........
Khak ho chuke jo KAL
Unki rakh me bhi dabi
Koi chingari jab uthti hai
hare bhare AAJ ko
Pal me tabah karne ki qayamat dhati hai
Isse pehle ye chingari
Fir se bhadkkar
Chita ki aag ban jaye
Is KAL ki rakh ko
Samjhauton ki ganga me bahana hoga
Aur inki bhatki rooho ko
Door veerano ke gehre me
Dabana hoga…..
Unki rakh me bhi dabi
Koi chingari jab uthti hai
hare bhare AAJ ko
Pal me tabah karne ki qayamat dhati hai
Isse pehle ye chingari
Fir se bhadkkar
Chita ki aag ban jaye
Is KAL ki rakh ko
Samjhauton ki ganga me bahana hoga
Aur inki bhatki rooho ko
Door veerano ke gehre me
Dabana hoga…..
Subscribe to:
Posts (Atom)