Wednesday, April 9, 2008

JISKA KAM USIKO SAJHE…..

Umr ke is chavaleesven (44th) padav me
Main fir se padh rahi hu
Na ramayan
Na gita
Na mahabharat
Na hi koi puran
Bas apne bachpan ki
ore thoda mud rahi hu
hanji..me bhi ‘C’ padh rahi hu
bas yun samjho
dheere dheere kisi
gehri khai ki taraf badh rahi hu
girungi nahi yeh bhi janti hu
kyunki kabhi jiski me teacher thi
wohi mera beta ab mera tutor hai,
mere liye to woh ek sharp shooter hai
jo har waqt
mere khali bheje pe
bandook leke khada rehta hai
aur is ‘C’ ka concept clear karne pe ada rehta hai
ab to buri tarah fansi hu
na nikal pati hu
na doob jati hu
aise dal dal me dhansi hu
janti hu isme se har hal me bahar ana hai
isliye hi to
apne dye kiye balon
ko fir se safed karne pa tuli hu
hmm..kanetkar ki book ka
kewal ek chapter padhne ke bad
jo aaj tak kisi ne shayad kiya hoga
woh karne chali hu
ji han…me apna
pehla ‘C’ Statement likhne baithi hu
maf karna Einsteinji..
aapke “E=mc­2 wale formulae
ka sahi matlab aaj hi jana hai
aur isiko apne first ever
‘C’ statement ke liye chuna hai
E=m*c*C ; (E=mc2)
{E=enigma
m=microbiology
c=chetna
C=’C’}
Jate jate ek secret aur bata du
Mere sare software doston ko
Tumhare is ‘C’, ‘C+, ‘C++ se
To mera ‘Genetics” jyada asan tha
In ‘C’ variables ko samjne se
DNA, RNA ko samjhna kaii guna saral tha
Tumhare ‘Compiler’ se
To majboot DNA ka phosphate bond tha.
Neways…………………..
ab to lag raha hai
ek kahavat apne liye bol dalu
aur is lambe hote kavya ka ant kar dalu
“jiska kam usiko sajhe
Aur kare to thenga baje.”

Thursday, April 3, 2008

AB KE JAB MILO ISHWAR.....

Ab ke jab miloge ishwar
Tumse poochugi chand sawal,
Kyun hamein dee yeh nahni ankhen
Aur inme sapne sajaye vishal
Rahein kathin manzil de dee door
Aur chote chote diye paer..
yun jimmedariyon ka bhoj kya kam tha
Jo hath me kalam aur pakda dee
Dil pe saanso ka bhojh kya kam tha
Jo armano ki jhadi bhi laga dee
Hey bhagwn…ab to na dil behlta hai
Na hi iske arman niklte hai
Ankhein hai ki ab bhi har pal
Naye sapne sanjoti hai…
Bas hath hai jo kalam
Liye kuch panno pe chalte hai
Yunhi din rat ab dhalte hai
Shayad nazar nahi dale zameen per
Kai dino se hey data
Teri duniya me
Aajkal kaee log jeete nahi
Bas jivan ko yunhi chalte hain
Ab ke agar
Zameen per aao to
Poori tayyari ke sath ana
Aur nahi to
Mere sawalon ko bhed sake
Aise hathiyar jarur lana
Warna padega pachtana….
Warna padega pachtana…

tum aprichit

Aprichit the
Aprichit hi raho
Yun bar bar yadon me ake
Khud ko bevajha dohraya na karo…
Vihval vyakul man mera
Mrag-trishna sa bekal man mera
Badi yatan se shant hua hai
Isse fir se jwalamukhi mat banao
Badi jatan se sookhi hai mere ankh ki nadi
Use fir se bahne pe majboor na karo
Yeh katil hawa bhawander bane
Aur ujad de ghar mera
Isse pehle iska rukh mod liya karo
Kho kar tume pehle hi lut chuke hai
Apne aanso-on se sare sagar dubo chuke hai
Dil ki banajar zameen bhi na doob jaye kahin
Tum yadon ke yeh badal kahin aur barsaya karo……….