Sunday, February 24, 2008

pukar

teri yad ki har cheez ko
yun to hamne dubo diya
par na jane kaise ek beej
dil ki zameen mein bo diya
anjane me seenchte rahe use
apne aansoon-o se
vo nanha paudha
hamse ukhade na bana
ab to yeh hal hai ki
vishal ho chala uska tana
sun lo...................
us par ab tumari adaon ke fool khile hain
kuch fal bhi lagay hai
jo khud me teri yadon ke hazaro beej samete hai
aaj ek fal sukh kar
fir se dil ki zameen par gira hai
aur uska har beej
ped banne par ada hai
unki jadein mere bhitar
gehri aur gehri ho rahi
pal pal is dil ki zameen ko kured rahi
ab inhe jangal ban-ne se kaise roku??
apne bhitar mache
is dangal ko kaise jeetu??
kuch javab hai to
de jao.........
varna dil ke is hisse ko
aakar sath apne le jao.............

Thursday, February 7, 2008

mujhe kehne do

tadpti kalam ka lava aaj behne do
machalte toofano ko aaj kagaj pe dhehne do
bahut chali andhiyan ret ki sehra me
marusthal yahan bhi kuch ban-ne do
mujhe kuch kehna hai kehne do

iske pehle ke sukh jaye yeh nadi
thoda door aur ise behne do
samundra ki kharash bhari jo armano me hai
use kuch to lafjhon me dhalne do
mujhe kuch kehna hai kehne do

sard syah ki kuch kalikh
kore panno pe failne do
oas ki boond bane mere ansoon ko
kuch der yunhi rehne do
mujhe kuch kehna hai kehne do...

Wednesday, February 6, 2008

sawal-javab aur zindagi

ek sawal bhi tum zindagi
ek javab bhi tum
aur isi sawal javab ke beech ji rahe hai hum
jab jeena chahte hai ji bhar ke
beech rah ruth ruth jane ka irada kyun hai
aur jab marna chahte hai
beman hum pe apna bhoj lada kyun hai
dukhon ko tune apna sathi,
aur maut ko apni saheli banaya kyun hai
tere dard ki jo dava bane
un lamhon ko bhulaya kyun hai
jiteji ai zindagi khud ko
chita pe sajaya kyun hai
javab tumhen ate hai mere har sawal ke
magar mujhse chupaya kyun hai
aaj fir se mujhe sawalon ke ghere me
aur khud ko javabon ke pehre me rakha kyun hai
tere in sawal aur javabon se thak chuke hai
fir bhi na jane kyun inhi ke beech ji rahe hai...
bas jiye ja rahe hai...
ek sawal bhi tum ek javab bhi tum
aur isi sawal javab ke beech ji rahe hai hum...